“Talibaat nay jamaiya ki Intizamia ko fikar mand hony par majboor kardiya”
Aaj kay is waqt main jahan har lamha pareshan kun baatain aur khabrain sunnay main aatin hain. Talib-e-ilmon ko is pareshani waly mahol main sab say barri pareshani apni taalim key kharab honay ki hoti hai. Jab bhee shehar ya mulk key halat kharab hoty hain ya koi bara saanehaa paish aata hai tou talimi idaray band kardiye jaty hain ya phir ye elan kiya jata hai key talimi idary to khuly rahynge lakin transport ki harrtaal hogi. Hamariyan ek barra almiya ye hai kay eik taraf halat kharab aur dusri taraf parhai aur assignment waghera ki fikar satati rehti hai, isi pareshani main eik aur pareshani barrh jati hai kay waqt par course ka ikhtitaam hojaye taaky waqt par notes bhee ban jayin aur amtihanat ki tayari bhee pursukun maahole main hojaye. Apni inhi pareshaniyon key sath har taalib-e- ilm wo kaam bhee karta hai jo in pareshaniyon say zehen ko kuch pursukun kary. Isi liye jamiayat waly kuch tafreehi program jamiaya main kuch makhsoos waqt main rakhty hain. Lakin is dafa halat ziyada kharab hony ki waja say hamari Jinnah university main student week nahi manaya jaa raha kiyon kay pareshani ki baat ye hai key course mukammal nahi hai aura b waqt kam darker hai.course ko waqt par khatam karny kay liye kuch zaaiid classes lee jasakti hain is say kam waqt main kaafi course khatam hojaye ga aur sath hee imtihan ki taareekh main bhee tauseee kerdi jaye tao taalim par asar bhee nahi parega aur hum apny in khas dinon ko mana sakynge. Aur kaafi had tak mazy karsakyngey. In dino ko mana ker hum zehni tour par tar o taza hojynge aura ram say darker waqt main apny notes aur assignments ko mukammal karlynge aur asaataza bhee kam waqt main aram sy apna course khatam karwa sakynge. Kiyon ke achi talim aur achay no. hasil karny key liye waqt par tafreeh aur waqt par parhai hona bohat zaruri hai werna bina tafreeh aur mazah key parhai kay bojh bannay ka andesha hota hai.
No comments:
Post a Comment