Hate Speech.
Iska mafhoom hai aesi guftugu jo logon ke peeth pechy ki jati hai aur jisse unko takleef pohanchti hai,hamary muashry mian ye bohat aam baat samjhi jati hai jabke aaj se qabal dor waly issy mayub tassawur krty thy aur hamesha aesi burrai ki baton se door rehty thy ,aj ke dor main hum agar apne ird gird dekhyn to har koi aesi guftugu main mashghool nazar aayega har koi kisi aese shakhs ki burai kerty dekhayii dynge jo unke beech main nahi hoga,wo is baat ke bary main nahi sochty ke aesa kaam kerny waly ke liye deen-e-Islam main kitni sakht saza hai . kisi ke peechy uski burai karna ghalat hai phir bhee ye kaam kerny se koi gurez nahi kerta,hamary muashry main iski kayi misalyn mil jyngi
hamary media pe aany waly current affairs ko dekha jaye to unpe bhee hate speech heee dekhayi deti hai,har guest kisi dusri tanzeem k liye bury alfaz istimal kerta hain,dost ahbab bhee yehi kam kerty hain jahan teen se chaar dost sath bethty hain wo apny class felows ki burai kerty hain aur jab zarurat hoti hia to unhi ko makhan laga ker unse kaam mangty hain,aese heee rasy par mangny wala bhikari bhee sab wastty deny ke bawajud jab kisi shakhs sy bheek nahi le pata to uske jany ke bad ussy badduayin aur galiyan de kar bula bhala kehta hai,hate speech ka istimal kerny waly sab ye bhool jaty hain key hamary deen main iski kitni sakht saza hai” jo ye kaam karyga wo apny sagy bhai ka gosht khayega”phir bhee log ye kam karny sy baz nahi aaty……..
No comments:
Post a Comment