Anonymous letter:
Wo jab yaad aaye bohat yaad aaye.
Aaj phir sey yaad aai wo purany din , phir sy wohi mosam aata phir wohi din aaye hum phir wohin har roz aaye inhy milny ky liye wohi unse chand batyn karny ke liye , phir sy wohi din aaye hum phir wohin har roz aaye , wo jis terhan sikhati hain wo jis terhan batati hain sab jese hamary zehan main beth jata hai in ka har lafz hamesha yaad reh jata hai, an ka chalna an ka bolna yahan tak ky inka pehnawa bhee apny aap main ek numaya andaz rekhta hai , inki aadat o atwar se seekhny ko dil karta hai, inhi key naqshy qadam par aagy berhny ko dil kerta hai , wo jo kehti humy kisi kaam ka hum kaam bhee waqt per krty hain. Kuch seekhny ko unsy phir usi tarz par chalty hain . jahan ly jaty hain qadam wo raahyn purani hain par hum roz un raahon par un se milty hain. Wo ghussa bhee hoti hain aur naraz bhee hoti hain phir khud hee maan ker apna sab kuch jaan kar humy muaf bhee karti hian wo dikhti bohat burdbar hain par sach main bohat naram dil hain . wo sab main kuch khas hain maire dil kay bohat pass hai . hum unsy kabhi hal-e- dil keh na saky . sada salamat rahain wo yunhi muskurati rahain wo, na gham kabhi qareeb aaye na wo hum kabhi door jayen . aur roz hansty muskuraty zindagi ka har roz bitayin……AMEEN
No comments:
Post a Comment