Lehron se Darkar nauka par nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,
charhti deewaron par, sau bar phisalti hai.
Mann ka vishwas ragon mein saahas (himmat) bharta hai,
charhkar girna, girkar charhna na akharta (takleef dena) hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.
Dubkiyan sindhu (water of the sea) mein gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath lautkar aata hai.
Milte nahi sahaj hi moti (real pearl) gehre paani mein,
badhta dugna utsah isi hairani mein. (is se uski haimat dugni ho jati he)
Muthi uski khali har bar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahi hoti.
Asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo,
kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo.
Jab tak na safal ho, neend chain ko tyago (chor do) tum,
Sangharsh (sakht mehnat) ka maidan chhodkar mat bhago tum.
Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.
by Harivansh Rai Bacchan (father of Amitabh Bacchan)
==========================================

No comments:
Post a Comment