About Me

My photo
student of mass comm...Im religious,honest,Modest,humane and tell always truth and believe on Allah ......always face problems with Perseverance...from Heart to 'Love my family'...

Nov 23, 2010

Flood victim

pakistan main july ke mahiny main aany walay selab ki shuruwat monson ki barishon ki waja se  Khyber Pakhtunkhwa se hui ,jiski zad main  Sindh , Punjab , Balochistan  aur  Indus River basin aaye.Pakistan main aany walay aesay selabi relay ney  aadhy Pakistan ko pani main dubo diya , Is selabi relay se 20 million log mutassir huwy hain jin main kuch nay apni zaminay ,ghar ganwaye, kuch nay apny behan , bhai , betey , betiyan , bachhon nay maan baap waghera..Is selabi relay main jitny log tabah huwy hain survey ke mutabiq  2004 ka tausami , 2005 ka kashmir earthquake aur 2010 main Haiti main aany wala zalzalay may bhee itny log mutasir nahi huwy jitny ke i selabi relay ne aik hee mulk ke logon ko itna tabah kerdiya . Is selabi relay nay sab ko jhinjhorr ke rakh diya hai , aaj bhee dar dar bhatakty apny haq ko mangty dekhai dety hain selab mutasrin , hukumat nay inko denay ke liye jin funds ki baat ki thi aaj tak unse mehroom ye mutasrin kisi umeed main kahin na kahin bethy dekhai dety hain, watan card lene ke liye lambi lambi qitaron main khara hona parta hai inko , lakin ye sab humko dikhta hai lakin hukumat aur ameer logo ke kaanon par to juun bhee nahi raingti hai wo apni tarraqi aur apna mafaad hee dekhty hain.

No comments:

Post a Comment