About Me

My photo
student of mass comm...Im religious,honest,Modest,humane and tell always truth and believe on Allah ......always face problems with Perseverance...from Heart to 'Love my family'...

Nov 25, 2010

dream come true

DREAM COME TRUE:



Dream come true ka matlab khuwabon ko sach karna, hum apni aankhon kai khuwab to sajaty hain lakin aksar jab wo khuwab sach hoty nahi dikhty to hum dar jaty naumeedi ki batyn karty hain , lakin phir bhee khuwab dekhna nahi chhorrty hum yehi hamari umeed ki asal pehchan hai, jisko hum kabhi kabhi dekh nahi paty hain,  sach hai ye baat ky khuwab wohi dekhty hain jo unko pura karny ki taqat rekhty hain, ham bhee apny khuwab ko pura karny ki taqat rekhty hain , khuwab  har insan dekhta hai aur isko dekhny par hukumat koi pabandy ya tax nahi laga sakti hai, duniya main har ameer , ghareeb , chhotay aur baray khuwab dekhty hain aur nko pura karny ki taqat rakhty hain aur us ko zehan main rekhty huwy hee har qadam barhaty hain aur aagy berhty rehty hain.khuwab dekhna aur unko sach karna hamari himmat hai aur hamary imaan par kamil hony kee pehchan hia

Nov 24, 2010

CULTURAL AND FASHION SHOW EXIBITION IN JUW.........

CULTURAL AND FASHION SHOW EXIBITION IN JUW.....


MADE BY MYSELF.......
===================



HOPE EVERY ONE LIKE IT.......
=========================

smoking is hallal or haram?

SMOKING IS HALAAL OR HARAM?


M.A FIAL YEAR PRESENT FASHION SHOW EXIBITION:

Jinnah university for women main Mass communication key department key zer-e- ehtimam M.A final nay  fashion show ka ineqad kiya jismay unhony Pakistan key fashion ko dikhaya , jis main chooriyon , zewraat , malboosaat aur sandals key  mukhtalif  install lagaye gaye. Is main inhony Pakistan main fashion main aany wali tabdeeli ko ronuma kiya , aur 80s aur ajky fashion ko dikhaya gaya , aur kafi larkiyon nay khud bhee umdah umdah kapray malboos kiye. Hamary department ki is mehnat ko dekh kar lagta hai key unmain kuch kar dekhany ki taqat aur aagy barhny key liye nai soch hai. Jis terhan unhony apny mulk kay fashion ko dikhaya isse  hamary media ko bhee tarraqqi milny kay kafi chances hain. Fashion ki is exhibition nay university ki tamam talibat main himmat aur aagy barhny ki eik nai rooh phoonk di hai. Jo talibaat aaj itni mehenti aur naye irady rakhny wali hain wo aagy jaky is field main zarur apna aur hamari university ka naam roshan karyngi.
FAHION SHOW TO BOHAT DEKHY HONGY LAKIN AESA FASION SHOW NAHI DEKHA HOGA..........



































CULTURAL EXIBITION..

 CULTURAL  EXIBITION IN JUW:

JINNAH UNVERSITY MAIN BS 4TH YEAR NAY PAKISTAN KA CULTURE PRESENT KIYA

Jinnah university for women main Mass communication key department key zer-e- ehtimam Bs.4th year nay  culture show ka ineqad kiya jismay unhony Pakistan key mukhtalif soobon kay culture  ko dikhany ke liye install lagaye , aur Punjab , Kashmir , Khyber pakhtunkhuwa aur dusry soobo ky culture ki cheezon wahan ki sakhafat se roshnas karaya. Jahan ek taraf student fashion show ki bat karty hain to wahin dusry student apny mulki ki saqafat apny culture ko logo main roshnas karaty huwy sabko apna culture uske khubsurat rang ki taraf khenchty hain, isi liye inhony iska naam bhee cultural of pakistan (Pakistan kay rang) rakha. Ye tamam mehnat roshan mustaqbil ko zahir karti hai. Aur sath hee humy apny mulk ki saqafat key qareeb karty hain, is exhibition se hamy ye baat yaad dilayi jati hai ky apny mulk ki saqafat ko kabhi nahi bhulna chahiye aur jo qoum apni saqafat ko yaad rekhti hai wohi taraqqi karti hai.


















Anonymous letter:

Anonymous letter:
Wo jab yaad aaye bohat yaad aaye.
Aaj phir sey yaad aai wo purany din , phir sy wohi mosam aata phir wohi din aaye hum phir wohin har roz aaye inhy milny ky liye wohi unse chand batyn karny ke liye , phir sy wohi din aaye hum phir wohin har roz aaye , wo jis terhan sikhati hain wo jis terhan batati hain sab jese hamary zehan main beth jata hai in ka har lafz hamesha yaad reh jata hai, an ka chalna an ka bolna yahan tak ky inka pehnawa bhee apny aap main ek numaya andaz rekhta hai , inki aadat o atwar se seekhny ko dil karta hai, inhi key naqshy qadam par aagy berhny ko dil kerta hai , wo jo kehti humy kisi kaam ka hum kaam bhee waqt per krty hain. Kuch seekhny ko unsy phir usi tarz par chalty hain . jahan ly jaty hain qadam wo raahyn purani hain par hum roz un raahon par un se milty hain. Wo ghussa bhee hoti hain aur naraz bhee hoti hain phir khud hee maan ker apna sab kuch jaan kar humy muaf bhee karti hian wo dikhti bohat burdbar hain par sach main bohat naram dil hain . wo sab main kuch khas hain maire dil kay bohat pass hai . hum unsy kabhi hal-e- dil keh na saky . sada salamat rahain wo yunhi muskurati rahain wo, na gham kabhi  qareeb aaye na wo hum kabhi door jayen . aur roz hansty muskuraty zindagi ka har roz bitayin……AMEEN

Two wives better than one?


Anokhi shaadi………………naiki kar dariya main daal……………………
Aaj ke is mehengy daur main har koi ye sochta hai key kaise mahinay key badget ko ko control karain? Kaise apni zaruriyat as barhti mehengai main pura karain? Aese main log shaadi ka soch kar ye tay kartay hain kay meman kam bulayin gay. Shaadi tent laga kr drmiyani tariqay sy karynge kay ziyada kharcha na ho kiyon ke shaadi main hony waly kharchon kay sath baad key kharchay bhee maienay rekhty hain isi liye har koi apni jaib dekh ker hee kaam kerta hai,lakin is mehengai main koi do shaadiyan ker sakta hai hairani hoti hai,log to ab khuwab main bhee do shaadiyon ka door  ek shaadi kaa bhee nahi sochty. Lakin Multan ke hamaray ek bhai Azhar nay is naik kaam main apna qadam barhaya aur ek hee waqt main do kunwari larkiyon se shaadi ki jin main ek phoophi aur ek chaahi ki beti thi,aesa kerny ki waja ke khandan se bahar shaadi nahi hoti aur ye inke bhai ka ek beta tha jis ke liye chacha aur phoophi dono nay apni betion ke liye rishta manga tha,inhony rishty dari ko nibhaty huwy dono ka rishta qubul kiya aur dono cousins se shaadi ki . Aj ke is mehengy dour main ini bari naiki ka kam karna asan nahi hai. Is rishty say mashaAllah sy sab khush hain. Allah in ko himmat dy ke ye apny faraiz ko  khush aslubi say nibhaiyn. Aur unky ghar ko khushiyon se bhara rakhy……. Allah hum sab ky hal par rehem kary hum sab ko seedha raastay ki hidayat dy , Aur tamam larkiyon ky ghar basaye aur sabka nasee sanwary………*(AMEEN)



Talibaat nay jamaiya ki Intizamia ko fikar mand hony par majboor kardiya”

“Talibaat nay jamaiya ki Intizamia ko fikar mand hony par majboor kardiya”

Aaj kay is waqt main jahan har lamha pareshan kun baatain aur khabrain sunnay main aatin hain. Talib-e-ilmon ko is pareshani waly mahol main sab say barri pareshani apni taalim key kharab honay ki hoti hai. Jab bhee shehar ya mulk key halat kharab hoty hain ya koi bara saanehaa paish aata hai tou talimi idaray band kardiye jaty hain ya phir ye elan kiya jata hai key talimi idary to khuly rahynge lakin transport ki harrtaal hogi. Hamariyan ek barra almiya ye hai kay eik taraf halat kharab aur dusri taraf parhai aur assignment waghera ki fikar satati rehti hai, isi pareshani main eik aur pareshani barrh jati hai kay waqt par course ka ikhtitaam hojaye taaky waqt par notes bhee ban jayin aur amtihanat ki tayari bhee pursukun maahole main hojaye. Apni inhi pareshaniyon key sath har taalib-e- ilm wo kaam bhee karta hai jo in pareshaniyon say zehen ko kuch pursukun kary. Isi liye jamiayat waly kuch tafreehi program jamiaya main kuch makhsoos waqt main rakhty hain. Lakin is dafa halat ziyada kharab hony ki waja say hamari Jinnah university main student week nahi manaya jaa raha kiyon kay pareshani ki baat ye hai key course mukammal nahi hai aura b waqt kam darker hai.course ko waqt par khatam karny kay liye kuch zaaiid classes lee jasakti hain is say kam waqt main kaafi course khatam hojaye ga aur sath hee imtihan ki taareekh main bhee tauseee kerdi jaye tao taalim par asar bhee nahi  parega aur hum apny in khas dinon ko mana sakynge. Aur kaafi had tak mazy karsakyngey. In dino ko mana ker hum zehni tour par tar o taza hojynge aura ram say darker waqt main apny  notes aur assignments ko mukammal karlynge aur asaataza bhee kam waqt main aram sy apna course khatam karwa sakynge. Kiyon ke achi talim aur achay no. hasil karny key liye waqt par tafreeh aur waqt par parhai hona bohat zaruri hai werna bina tafreeh aur mazah key parhai kay bojh bannay ka andesha hota hai.


Nov 23, 2010

Flood victim

pakistan main july ke mahiny main aany walay selab ki shuruwat monson ki barishon ki waja se  Khyber Pakhtunkhwa se hui ,jiski zad main  Sindh , Punjab , Balochistan  aur  Indus River basin aaye.Pakistan main aany walay aesay selabi relay ney  aadhy Pakistan ko pani main dubo diya , Is selabi relay se 20 million log mutassir huwy hain jin main kuch nay apni zaminay ,ghar ganwaye, kuch nay apny behan , bhai , betey , betiyan , bachhon nay maan baap waghera..Is selabi relay main jitny log tabah huwy hain survey ke mutabiq  2004 ka tausami , 2005 ka kashmir earthquake aur 2010 main Haiti main aany wala zalzalay may bhee itny log mutasir nahi huwy jitny ke i selabi relay ne aik hee mulk ke logon ko itna tabah kerdiya . Is selabi relay nay sab ko jhinjhorr ke rakh diya hai , aaj bhee dar dar bhatakty apny haq ko mangty dekhai dety hain selab mutasrin , hukumat nay inko denay ke liye jin funds ki baat ki thi aaj tak unse mehroom ye mutasrin kisi umeed main kahin na kahin bethy dekhai dety hain, watan card lene ke liye lambi lambi qitaron main khara hona parta hai inko , lakin ye sab humko dikhta hai lakin hukumat aur ameer logo ke kaanon par to juun bhee nahi raingti hai wo apni tarraqi aur apna mafaad hee dekhty hain.

Water or Coke ?

Water or Coke ?
        I could not believe this.....   



 
                  


 WATER 

 
#1.    75% of Americans are chronically dehydrated.           (Likely applies to half the world population)

 
#2.    In 37% of Americans, the thirst mechanism is so weak
       that it is mistaken for hunger.
 
 #3.    Even MILD dehydration will slow down one's metabolism as 3%.  
 #4.    One glass of water will shut down midnight hunger pangs            for almost 100% of the dieters studied in a University of
          Washington study.
 
 #5.    Lack of water, the #1 trigger of daytime fatigue.

 
#6.    Preliminary research indicates that 8-10 glasses of          water a day could significantly ease back and joint pain
        for up to 80% of sufferers. 

 
#7.    A mere 2% drop in body water can trigger fuzzy short-term           memory, trouble with basic math, and difficulty focusing on
         the computer screen or on a printed page.


 
#8.    Drinking 5 glasses of water daily decreases the risk of          colon cancer by 45%, plus it can slash the risk of breast
        cancer by 79%., and one is 50% less likely to develop
        bladder cancer. Are you drinking the amount of water
        you should drink every day? 

 

 COKE

 
 #1.    In many states the highway patrol carries             two gallons of Coke in the trunk to remove blood from
          the highway after a car accident
.
 

 #2.    You can put a T-bone steak in a bowl of Coke
           and it will be gone in two days. 
 #3.    To clean a toilet: Pour a can of Coca-Cola into the          toilet bowl and let the 'real thing' sit for one hour,
       then flush clean. The citric acid in Coke removes
       stains from vitreous china. 
 
 #4.    To remove rust spots from chrome car bumpers:             Rub the bumper with a rumpled-up piece of Reynolds
          Wrap aluminum foil dipped in Coca-Cola.

 

 #5.    To clean corrosion from car battery terminals: Pour             a can of Coca-Cola over the terminals to bubble
           away the corrosion
.
 

 #6.    To loosen a rusted bolt: Apply a cloth soaked in Coca-Cola
          to the rusted bolt for several minutes
.
 

 
#7.    To bake a moist ham: Empty a can of Coca-Cola into            the baking pan, wrap the ham in aluminum foil, and bake.
          Thirty minutes before ham is finished, remove the foil, allowing the drippings to mix
          with the Coke for a sumptuous brown gravy
.
 

 
#8.    To remove grease from clothes: Empty a can of Coke           into the load of greasy clothes, add detergent, and run           through a regular cycle. The Coca-Cola will help loosen
          grease stains It will also clean road haze from your
          windshield. 
 
 FOR YOUR INFORMATION:
 
 #1.    The active ingredient in Coke is phosphoric acid.
             It will dissolve a nail in about four days. Phosphoric
             acid also leaches calcium from bones and is a major
             contributor to the rising increase of osteoporosis.

 
 #2.    To carry Coca-Cola syrup! (the concentrate) the
          commercial trucks must use a hazardous Material place
          cards reserved for highly corrosive materials.


 
#3.    The distributors of Coke have been using it to clean
          engines of the trucks for about 20 years!
  
  Now the question is, would you like a glass of water? or Coke?      
 
Send this helpful info on to your friends.