About Me

My photo
student of mass comm...Im religious,honest,Modest,humane and tell always truth and believe on Allah ......always face problems with Perseverance...from Heart to 'Love my family'...

Jan 2, 2011

PARVEEN SHAKIR.....1952-1994

"PARVEEN SHAKIR"

Hamari ek bain-ul-aqwami shohrat yafta shairah ki solhvin barsi par unki adabi  khidmat par khiraj-e-aqidat paish karty hain.

parveen shakir hamary mulk ki maaruf o namwar shairah , jo solah baras qabal ,26 december 1994 ko, Islamabad ke ek traffic hadse main apne parhne walon ko daagh-e-mufarqat dy kar khaliq-e-haqiqi se ja milin.

parveen shakir mulk ki maruf adeeba shahira mua-lli-mah aur iskaalar hone ke sath sath apne adabi aur samaji halke main har dil aziz shakhsiat thin.Aap apni shairi aur adabi khidmat ke sabab taqreeban her umer ke logon main yaksaan maqbuliat ki haamil o ba waqar khatoon thin.apke walid syed shaki husain zaidi thy.shair goi apko virse main hee mili thi.
Aap chobees november unnees so bawan (24,nov 1952 ) main, karachi main paida huin.Aap ne karachi unversity se urdu aur angrezi literature main M.A kiya,doctrate kiya aur Haward University se Public Administration main M.A kiya.

Parveen shakir ne apni profesional life ka aaghaz,dars o tadrees se kiya , nou saal is shaobe main guzarne ke baad civil service main akar battees (32) saal ki umer main unnees so chhiyasi ( 1986 ) main,custom department main phir C.B.R main aur iske baad taraqqi hasil kerke dipti collector custom and aexise Islamabad ke faraiz anjaam dene lagin.

Aapne apni azdwaji zindagi ka aaghaz naseer ali naam ke ek doctor se rishta-e-azdwaj main munsalik ho kar kiya.kuch arse bad apne aledhgi ikhtiyar ki,aur aaj apke bete muraad ali hamare beech mojud hain.

Parveen shakir ne baad main apni adabi khidmaat ka aaghaaz urdu angrezi akhbarat main column navesi se kiya aur shairi ko apni pehchan banana shuru kiya aur bohat jald apne apne waqt ke mashhoor shora main apna ek aledha muqaam bana liya.

Parveen shakir ki shairi main ziada tar sanf-e-ghazal ko terjeeh di gayi hai.
Inke majmooaat main saf-e-awwal per rehne wala majmua,"KHUSHBU" hai,Iske baad "SAD-E- BARG" , "INKAAR " , "KHUD KALAAMI " AUR "MAH-E-TAMAAM KULIYAAT  " ke naam qabile zikar hain.

Parveen shakir ko unki behtreen shairi per "ALLAMA IQBAL AWARD" , "FAIZ AHMED FAIZ AWARD" , "ADAM JEE AWARD" AUR "U .S. I .S AWARD"  ke ilawah unnees so nawway (1990) main SADARTI TOHFA "HUSN-E- KARKARDAGI" se bhee nawaza gaya.

***MAR BHEE JAON TO KAHAN LOG BHULA HEE DAINGE***
***LAFZ MAIRE, MERE ZINDAH HONE KI GAWAHI DAINGE***

No comments:

Post a Comment