About Me

My photo
student of mass comm...Im religious,honest,Modest,humane and tell always truth and believe on Allah ......always face problems with Perseverance...from Heart to 'Love my family'...

Oct 10, 2010

Reawakening of Pakistan:       ...

Reawakening of Pakistan:      
 ...
: "       <> maire is topic se yehi matlab hai ke hamary politicians ney behissi main aasman ko..."

BADLO ZINDAGI! APNO KE SATH "....."change"..."

Change matlab'tabdili' ek aesi tabdili jo waqt guzarne ke sath kisi bhee jandar shey main ronuma hoti hai khuwa wo  harkat o saknat se ho ya lab o lehje se, waqt ke guzarne ke sath her jandar cheez apny andar kafi tabdilion ko zahir karti hai kiyon ke har aany wala waqt guzre huwe waqt se bohat mukhtalif aur pehle se ziyada pecheeda halat main hota hai,jiski waja se koi bhee jandar apny apko zinda rekhny ke liye ussi waqt o halat mian apny apko dhal leta hai..... Hum agar yahan insano ( Jinhyn 'Qalam Paak' Main 'Ashraful Makhluqat' kaha gaya hai ) ki baat karyn to agar dekha jaye,  Insan bhee waqt aur mosam ke taghaiurat ke hathon majbur hota hai aur apny apko badalta hai kabhi kabhi ye badlao samaajh main apni ek alag jagah banany ke liye hota hai to kabhi muaashi aetbar se apny status ko tawazun main rekhny ki koshish ke liiye hota hai.....

;;;;;;;;;yahan agar ye kaha jaye to ghalat na hoga;;;;;;;;;

"INSAN EK KATPUTLI KI TARHAN HE JISE WAQT JAB JESE CHAHY NACHATA HAI"



kabhi samaajh main apny apko ek acha muqaam aur rutba dene ki koshish apko badalti hai to kabhi apna rutba muaashi aetbar se badalny ki koshishon main apny ehsasat ko khho deta hai ,In dono hee badlao main Insan waqt ke  lamhon main  chhupi khusiyan nahi dekhta aur aagy berhney ki chah main apno ko hee dukh deta jata hai bhul jata hai ke jo muqam wo muaashry main hasil kerna chhah raha hai wo uske ghar walon ki hee khushiyan hain lakin wo in khushiyon ko unse nahi bantta aur ghar wolon se kab dur hojat hai usko mehsoos bhee nahi hota
"yahan takke wo ye bhee nahi dekhta ke muaashry main ek aala muqaam hasil kerne ki koshishon main uske ghar walon ki kkhushiyan kahin khho chuki  hain"
Issiliye kehty hian ke badlo zamana lakin khud ko aese kabhi na badalna ke aakhir main sirf tum ho aur tumhara ye zamana"

"BADLO ZINDAGI!PER HAMESH APNO KE SATH "

Oct 9, 2010

Why I Took Admission In Mass Comm....

Zindagi main her koi kaayi khuwab o khuwahishat rekhta hai her kissi ki zindagi main koi na koi maqsad zarur hota hai, khuwa wo khuwab,khuwahishat aur maqsad-e-zindagi uske ghar walon ne hee usko kiyon na diye hon Us maqsad ke sahare wo apni zindaqi main aagy berhta hai kuch ker dikhany ki khuwahish rekhta hai aur ye cheez beja nahi hoti.....
Issi terha apne kayi khuwab o khuwahishat ke sath maine bhee mass communication ki field mian qadam rekha hai aur mujhy apni mehnat  aur apne walidain ki duaon per pura bharosa hai ke main apni manzil pe zarur pohanchun gi, apny maqsad main kamiyabi hasil kerungi, sochon to kaiyi maqsad ankhon main aajaty hain per jo sabse ehem hai aur jispe sab inhisar ker rahy hain wo mera master ka mukammal hona hai phir main wo sab bhee kerlungi jo isse belong kerta hai.......
Is field main aakey maine apny teachers se kayi cheezyn seekhi hian jese apny haq ke liye hamesha bolna, sach kehne ke liye  kisi se kabhi nahi darna  aur  jo maqsad bhee zindagi main ho uspe datty rehna,issi terhan umeed hai ke aainda bhee zarur apny teachers se  seekhoongi aur unko apni nijji zindagi mian apply zarur kerungi.......

Oct 8, 2010

     

<>
<>
maire is topic se yehi matlab hai ke hamary politicians ney behissi main aasman ko
chhoo liya hai.......
ek taraf mulk main zakhira andozi ki baat hoti hai to dusri taraf ye
kaha jata hai ke mulk mian ghizai ajnas ki kami selaab ki wajah se ho gayi hia,phir ye
keh diya jata hai ke flood tax lagaya jayega aur awam ki mehnat ki kamai se Tax ko vusul  kiya jayega, koi inse ye sawal kiyon nahi kerta ke sab awam ko hee kiyon nichorny beth jaty hain kabhi koi politicians apni jaagir main se koi madad kiyon nahi karta,koi apni jaib se dene ki to dur ki baat hai jhooty mun kaha bhee nahi jata ke media ne baat pakar li to lene ke dainy parr jayenge,Wah Jee Wah............

Akhir main bechari Awam hee pisti hai aur is baar bhee flood tax nafiz ker ke awam ke kandhon per ek aur bojh daal diya gaya hai.......
Ab to aam aadmi ye sochta hai ke yar hum selab mutasrin to nahi hain lakin selab mutasrin ke naam pe humse madad lete lete hum ko hee madad gaar bana diya jayega hum tab bhee sirf dekhte hee reh jayenge in politicians ko aur uss waqt bhee koi awaz inke khilaaf  buland na hosake gi.......

JAB TAK KOI QAUM APNI HALAT KHUD NAHI BADALTI US WAQT TAK MAIN B KISI QAUM KI HALAT NAHI BADALTA